
main nahi kehta tumse
ki tumhare aanchal ,me ambar
ke sitaare bhar dunga..
kyunki hame jeena hai
isi zameen par jeena hai.
main yeh bhi nai kehta tumse
ki tumhaare liye alag duniya bsa dunga
kyunki hume rehna hai..
isi duniya me rehna hai.
main yeh bhi nai kehta ki
tere liye yeh kar dunga, wo kar dunga..
kyunki wo to hume krna hi hoga,
jo karna hai..
to sirf
main ye kehta hun tumse
ki mere saath haqiqat ki zameen
par chalna chaho to chalo..
aao chalen...
hume bahut door tak chalna hai...
No comments:
Post a Comment